![Socha Hai](https://c.saavncdn.com/266/Rock-On-Hindi-2010-20221209104541-500x500.jpg)
Socha Hai Lyrics
Song · 3,993,005 Plays · 4:06 · Hindi
Socha Hai Lyrics
aasamaan hai nila kyun
pani gilaa gilaa kyun
gol kyon hai zameen
silk mein hai narmi kyun
aag mein hai garmi kyun
do aur do paanch kyon nahin
ped ho gaye kam kyon
teen hai ye mausam kyun
chaand do kyun nahin
duniyaa mein hai zang kyun
bahata laal rang kyun
sarahadein hai kyun har kaheen
sochaa hai ye tumne kya kabhi
sochaa hai kee hai ye kya sabhi
sochaa hai sochaa nahi to socho abhi
bahati kyun hai har nadi
hoti kya hai roshni
barf girti hai kyun
ladate kyun hain ruthate taare kyun hain tuutate
badalon mein bijli hai kyun
sochaa hai ye tumne kya kabhi
sochaa hai kee hai ye kya sabhi
sochaa hai sochaa nahi to socho abhi
sannata sunai nahin detaa
aur hawaaen dikhaayi nahin detii
sochaa hai kya kabhi hota hai ye kyun
aasamaan hai nila kyun
pani gilaa gilaa kyun
gol kyon hai zameen
silk mein hai narmi kyun
aag mein hai garmi kyun
do aur do paanch kyon nahin
ped ho gaye kam kyon
teen hai ye mausam kyun
chaand do kyun nahin
duniyaa mein hai zang kyun
bahata laal rang kyun
sarahadein hai kyun har kaheen
sochaa hai ye tumne kya kabhi
sochaa hai kee hai ye kya sabhi
sochaa hai sochaa nahi to socho abhi
sochaa hai ye tumne kya kabhi
sochaa hai kee hai ye kya sabhi
sochaa hai sochaa nahi to socho abhi
Writer(s): Javed Akhtar<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com
More from Rock On
Loading
You Might Like
Loading
4m 6s · Hindi