Shiddat Title Track (From "Shiddat") Lyrics
Tujh ko bana doon main apna khuda
Aur sajde tere kar sakoon
maangoon dua saath hone kee
tere kaandhe pe sar rakh sakun
dhaagaa ek baandhuun, tujh ko mannath bana loon
kaagaz pe dil ke teri soorat bana loon
Choote kabhi na wo aadat bana loon
Aa, shiddat bana loon tujhe
Qismat bana loon, meri chaahat bana loon
Dil se main maangoon ibaadat bana loon
Choote kabhi na wo aadat bana loon
Aa, shiddat bana loon tujhe
Qismat bana loon, meri chaahat bana loon
Dil se main maangoon ibaadat bana loon
Choote kabhi na wo aadat bana loon
Aa, shiddat bana loon tujhe
Kyun ye hadein hain? Kyun sarhadein hain?
itane hain kyun faasle?
manzil teri-meri jab ek hai to
kyun hain alag raaste?
Ishq ki aisi kahaawat bana loon
Paani pe likh doon, likhaawat bana loon
Goonje sadaa wo aahat bana loon
Aa, shiddat bana loon tujhe
Dil ki main tujh ko sajaawat bana loon
Kuch bhi na boloon, muskuraahat bana loon
barase khuda kee vo barqat bana loon
Aa, shiddat bana loon tujhe
Qismat bana loon, meri chaahat bana loon
Dil se main maangoon ibaadat bana loon
Choote kabhi na wo aadat bana loon
Aa, shiddat bana loon tujhe
Ye khaara samandar mera gawaah hai
Ishq hai mera ya mera gunaah hai
tujh ko sazaa aur adaalat bana loon
Haan, shiddat bana loon tujhe
Writer(s): Manan Bhardwaj<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com
More from Shiddat Title Track (From "Shiddat")
Loading
You Might Like
Loading
3m 50s · Hindi