Sampoorna Diwali Aarti

Sampoorna Diwali Aarti Lyrics

Sampoorna Diwali Aarti  by Shreya Ghoshal

Song  ·  11,507 Plays  ·  10:56  ·  Hindi

© 2020 Times Music

Sampoorna Diwali Aarti Lyrics

jai ganesh, jai ganesh, jai ganesh deva
mata jaki parvati, pita mahadeva

jai ganesh, jai ganesh, jai ganesh deva
mata jaki parvati, pita mahadeva
jai ganesh, jai ganesh, jai ganesh deva
mata jaki parvati, pita mahadeva

ekadant dayavant, chaar bhujaa dhaaree
ekadant dayavant, chaar bhujaa dhaaree
maathe par tilak sohe, muse kee sawari
maathe par tilak sohe, muse kee sawari

paan chadhe, phool chadhe aur chadhe mewa
paan chadhe, phool chadhe aur chadhe mewa
ladduan ka bhoga lage, sant karen seva

jai ganesh, jai ganesh, jai ganesh deva
mata jaki parvati, pita mahadeva
jai ganesh, jai ganesh, jai ganesh deva
mata jaki parvati, pita mahadeva

andhe ko aankh det, kodhin ko kaaya
andhe ko aankh det, kodhin ko kaaya
baanjhan ko putr det, nirdhan ko maaya
baanjhan ko putr det, nirdhan ko maaya

sur shyaam sharan aaye, safal kije seva
sur shyaam sharan aaye, safal kije seva
mata jaki parvati, pita mahadeva

jai ganesh, jai ganesh, jai ganesh deva
mata jaki parvati, pita mahadeva
jai ganesh, jai ganesh, jai ganesh deva
mata jaki parvati, pita mahadeva

om jai lakshmi mata, maiyaa jai lakshmi mata
tum ko nisadin sevat, maiyaa jee ko nisadin sevat
hari vishnu vidhaataa, om jai lakshmi mata

uma, rama, bramhani, tum hee jag mata
(maiyaa, tum hee jag mata)
surya chadranma dhyavat, surya chadranma dhyavat
naarad rishi gaata, om jai lakshmi mata

durga rup niranjani, sukh-sampatti daata
(maiyaa, sukh-sampatti daata)
jo koyi tumko dhyavat, jo koyi tumko dhyavat
riddhi-siddhi dhan paataa, om jai lakshmi mata

tum pataal nivasini, tum hee shubhadata
(maiyaa, tum hee shubhadata)
karm-prabhaav-prakaashini, karm-prabhaav-prakaashini
bhav nidhi kee traata, om jai lakshmi mata

jis ghar mein tum rahtee, saba sadgun aathaa
(maiyaa, saba sadgun aathaa)
saba sambhav ho jaataa, saba sambhav ho jaataa
man nahin ghabaraata, om jai lakshmi mata

tum bin yajna naa hote, vastr naa koyi paataa
(maiyaa, vastr naa koyi paataa)
khan-paan ka vaibhav, khan-paan ka vaibhav
saba tumse aathaa, om jai lakshmi mata

shubh-gun-mandir sundar, kshirodadhi-jaataa
(maiyaa, kshirodadhi-jaataa)
ratna chaturdash tum bin, ratna chaturdash tum bin
koyi nahin paataa, om jai lakshmi mata

mahalakshmi kee aarti, jo kayi nar gaata
(maiyaa, jo kayi nar gaata
ur anand samaata, ur anand samaata
paap utar jaataa, om jai lakshmi mata

om jai jagadish hare, swami jai jagadish hare
bhakt janon ke sankat, daas janon ke sankat
kshan mein door kare, om jai jagadish hare

jo dhyaavey, fal paave, dukh bin se man ka
(swami, dukh bin se man ka)
sukh-sampatti ghar aaye, sukh-sampatti ghar aaye
ksht mite tan ka, om jai jagadish hare

mata-pita tum mere, sharan gahun main kiski?
(swami, sharan gahun main kiski?)
tum bin aur naa dooja, tum bin aur naa dooja
aas karoon main kiski? om jai jagadish hare

tum pooran paramatma, tum antaryami
(swami, tum antaryami)
parbrahm paremashwar, parbrahm paremashwar
tum sabake swami, om jai jagadish hare

tum karunaa ke saagar, tum paalankarta
(swami, tum paalankarta)
main moorakh khal kaami, main sevak, tum swami
krupa karo bharta, om jai jagadish hare

tum ho ek agochar, sabake praan pati
(swami, sabake praan pati)
kis vidhi miluun dayamay, kis vidhi miluun dayamay
tumko main kumati, om jai jagadish hare

deenabandhu dukhaharta, thakur tum mere
(swami, tum rakshak mere)
apanae haath uthaao, apanae sharan lagaao
dwaar padaa tere, om jai jagadish hare

vishay vikaar mitaao, paap haro deva
(swami, paap haro deva)
shraddha-bhakthi badhaao, shraddha-bhakthi badhaao
santan kee seva, om jai jagadish hare

om jai jagadish hare, swami jai jagadish hare
bhakt janon ke sankat, daas janon ke sankat
kshan mein door kare, om jai jagadish hare

Writer(s): Sanjeevani Bhelande<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com


More from Sampoorna Diwali Aarti

Loading

You Might Like

Loading


10m 56s  ·  Hindi

© 2020 Times Music

FAQs for Sampoorna Diwali Aarti