Naseeb Mein Jiske Jo Likha Tha Lyrics
naseeb mein jiske jo likhaa tha
vo teri mehafil mein kaam aayaa
naseeb mein jiske jo likhaa tha
vo teri mehafil mein kaam aayaa
kisi ke hisse mein pyaas aayi
kisi ke hisse mein jam aayaa
naseeb mein jiske jo likhaa tha
main ek fasaanaa hoon bekasi ka
ye haal hai meri zindagi ka
main ek fasaanaa hoon bekasi ka
ye haal hai meri zindagi ka
ye haal hai meri zindagi ka
naa husn hee mujh ko raas aayaa
naa ishq hee mere kaam aayaa
naseeb mein jiske jo likhaa tha
badal gayi teri manzilen bhee
bichad gaya main bhee kaaravaan se
badal gayi teri manzilen bhee
bichad gaya main bhee kaaravaan se
bichad gaya main bhee kaaravaan se
teri muhabbat ke raaste mein
naa jaane ye kya maqaam aayaa
naseeb mein jiske jo likhaa tha
tuje bhulane kee koshishen bhee
tamaam naakaam ho gayi hain
tuje bhulane kee koshishen bhee
tamaam naakaam ho gayi hain
tamaam naakaam ho gayi hain
zubaan pe tera hee naam aayaa
naseeb mein jiske jo likhaa tha
vo teri mehafil mein kaam aayaa
kisi ke hisse mein pyaas aayi
kisi ke hisse mein jam aayaa
naseeb mein jiske jo likhaa tha
Writer(s): Ravi, Shakeel Badayuni<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com
More from Do Badan
Loading
You Might Like
Loading
4m 11s · Hindi