Lag Ja Gale

Lag Ja Gale Lyrics

Romance Forever  by Sanam

Song  ·  23,195,081 Plays  ·  4:00  ·  Hindi

Saregama

Lag Ja Gale Lyrics

lagaa jaa gale ki phir ye haseen raat ho na ho
shaayad phir is janam mein mulaaqaat ho na ho
lagaa jaa gale ki phir ye haseen raat ho na ho
shaayad phir is janam mein mulaaqaat ho na ho
lagaa jaa gale...

hamko milee hain aaj ye ghadiyaan naseeb se
jee bhar ke dekh lijie hum ko qareeb se

phir aap ke naseeb mein ye baath ho na ho
shaayad phir is janam mein mulaaqaat ho na ho
lagaa jaa gale...

paas aaie ki hum nahin aayenge baar-baar
baahen gale mein daal ke hum ro len zaar-zaar

aankhon se phir ye pyaar kee barasaat ho na ho
shaayad phir is janam mein mulaaqaat ho na ho
lagaa jaa gale...

Writer(s): Raja Mehdi Ali Khan, Sanam, Madan Mohan<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com


More from Romance Forever

Loading

You Might Like

Loading


4m   ·  Hindi

Saregama

FAQs for Lag Ja Gale