Chale Aana

Chale Aana Lyrics

De De Pyaar De  by Armaan Malik

Song  ·  159,614,659 Plays  ·  4:31  ·  Hindi

℗ 2019 Super Cassettes Industries Private Limited

Chale Aana Lyrics

Judaa hum ho gaye maana, magar ye jaan lo, jaana

Judaa hum ho gaye maana, magar ye jaan lo, jaana
Kabhi main yaad aaoon to chale aana, chale aana
Tumhein main bhool jaaoonga, ye baatein dil mein na laana
Kabhi main yaad aaoon to chale aana, chale aana

Tha kaun mera? Ek tu hi tha
Saanson se zyaada jo zaroori tha
Tere liye main kuch nahin, lekin
Mere liye tu mera sab kuch tha

"Nahin jaana bhulaakar ke," Ye baatein tum hi kahte the
Rahi khushiyaan nahin meri, ki tum bhi waqt jaise the
Tumhaara tha, rahega bhi, karein kya, dil hai deewaana
Kabhi main yaad aaoon to chale aana, chale aana

Maine tumhari baat maani hai
Maine manaaya dil ko hai kaise
Ab se raho tum khush, jahaan bhi ho
Mera-tumhara tha bhi kya, waise?

Bhale doori rahe jitni nigaahon se, nigaahon ki
Magar khwaabon ki duniya mein milunga tumse rozaana
Yahin tak tha safar apna, tumnhein hai laut kar jaana
Kabhi main yaad aaoon to chale aana, chale aana

Writer(s): Amal Israr Mallik, Kunaal Verma<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com


More from De De Pyaar De

Loading

You Might Like

Loading


FAQs for Chale Aana