Apne Hothon Ki Bansi (From "Gambler")

Apne Hothon Ki Bansi (From "Gambler") Lyrics

Gambler  by Kishore Kumar, Lata Mangeshkar

Song  ·  136,852 Plays  ·  3:49  ·  Hindi

℗ 1971 Universal Music India Pvt. Ltd.

Apne Hothon Ki Bansi (From "Gambler") Lyrics

Apne hontho ki
Apne hontho ki bansi bana le mujhe
Meri saanso me teri saans ghul jaaye
Aarazu to hamaari bhi hai ye magar
Dar hai mausam kahi na badal jaaye
Apne hontho ki bansi bana le mujhe
Meri saanso me teri saans ghul jaaye

Dekha tujhe, chadha ye kaisa nasha
Chali ye kaisi hava, bhule ham ghar ka pata, ho ho
Dekha tujhe, chadha ye kaisa nasha
Chali ye kaisi hava, bhule ham ghar ka pata
Ab to nahi hamse hona juda
Apni baaho ka ghunghat udha de mujhe
Pyaar ki ye na doli nikal jaaye
Aarazu to hamaari bhi hai ye magar
Dar hai mausam kahi na badal jaaye

Ye to bata, kaha rakhu ye kamal
Zidagaani hai meri, ret ka ek mahal, ho ho
Ye to bata, kaha rakhu ye kamal
Zidagaani hai meri, ret ka ek mahal
Yaad jaise ho koi aati gazal
Apni raato ka dipak bana le mujhe
Ye sulagati hui shaam jal jaaye
Apne hontho ki bansi bana le mujhe
Meri saanso me teri saans ghul jaaye

Paas to aa, ye din mar jaane ka hai
Ho ye din kuch khone ka hai, ye din kuch pane ka hai
Paas to aa, ye din mar jaane ka hai
Ho ye din kuch khone ka hai, ye din kuch pane ka hai
Mausam ye ruthne manaane ka hai
Apne daaman ki khushbu bana le mujhe
Dil ke sune me koi phul khil jaaye
Aarazu to hamaari bhi hai ye magar
Dar hai mausam kahi na badal jaaye
Apne hontho ki bansi bana le mujhe
Meri saanso me teri saans ghul jaaye

Writer(s): Neeraj, S. D. Burman<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com


More from Gambler

Loading

You Might Like

Loading


FAQs for Apne Hothon Ki Bansi (From "Gambler")