Yaara Maula Lyrics
yaara maula, yaara maula
haan-haan yaadon main he ab bhi
kya surila wo jahaan tha
hamaare haathon main rangeen gubaare the
or dil main mahaktaa samaa tha
yaara maula
wo to khwaabon kii thi duniya
wo kitabon kii thi duniya
saans main the machalate hue zalazale
aankh main wo suhana nasha tha
yaara maula
wo zameen thi, aasmaan tha
hamako lekin kya pataa tha
ham khadey the jahaan par
usee ke kinare pe gaharaa sa andha kuan tha
yaara maula
phir wo aaye bheed banakar
haath main the unke khanjar
bole phenko ye kitaaben
or sambhaalon ye salakhen
ye jo gaharaa sa kuan he
haan-haan andha to nahin he
is kune main he khazaana
kal kii duniya to yaheen he
kud jaao leki khanjar
kaat daalo jo ho andar
tum hi kal ke ho shivaji
tum hi kal ke ho sikandar
hamane wo hi kiya jo unhone kaha
kyunki unki to khwaahish yahi thi
ham nahin jaanate ye bhi kyun ye kiya
kyunki unki farmaaish yahi thi
ab hamaare laga zaayaka khun kaa
ab bataao karen to karen kya
nahin he koi jo hamen kuch bataaye
bataao karen to karen kya
Writer(s): Piyush Mishra<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com
More from Gulaal
Loading
You Might Like
Loading
3m 8s · Hindi