Paani Ka Raasta Lyrics
aasmaan…kitna sara tha aasmaan
jisape hamane tha sab dharaa,
pair badal pe tha aayaa
rasta…ham the pani kaa rasta
naa kisi se bhi vaasta,
dhoop the, ham hi the saaya
dhuna aisa uthaa
taron se tut ke gira
kuan aisa bana
rassi se chhot ke gira
rasta…pani kaa tha jo rasta
ud gaya ban ke bhaap sa
meraa dhundhala hua saaya
aasmaan…itnaa sara tha aasmaan
mit gaya kachche khwab sa
raat ne meraa dil khaaya
dhuna aisa uthaa
taron se tut ke gira
kuan aisa bana
rassi se chhot ke gira
jal-jal ke mudana
or dar-dar ke udana
hua…kya hua?
batch-batch ke chalanaa
kahana koi sach naa
hua…kya hua?
hua…naaraaz sa
shaakhon se chhot ke gira
jua…har saans kaa
ankhon main keel sa gada
dhuna aisa uthaa
taron se tut ke gira
kuan aisa bana
rassi se chhot ke gira
Writer(s): Ram Sampath, Varun Grover<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com
More from Raman Raghav 2.0
Loading
You Might Like
Loading
4m 1s · Hindi