
Mere Desh Ki Dharti Lyrics
50 Years Of India Independence by Kalyanji Anandji, Mahendra Kapoor
Song · 894,756 Plays · 7:09 · Hindi
Mere Desh Ki Dharti Lyrics
mere desh kii dharti, sona ugale, ugale heere moti
belon ke gale main jab ghunghru
jivan kaa raag sunaate hai
gam koson dur ho jaataa he
khushiyon ke kanval musakaate he
sun ke rahat kii awaajen
yun lage kahin shehanai baje
aate hi mast bahaaron ke
dulhan kii tarah har khet saje
mere desh kii dharti...
jab chalate hai is dharti pe hal
mamata angadaayiyaan leti he
kyon naa puuje is maati ko
jo jivan kaa sukh detii he
is dharti pe jisane janam liya
usne hi paaya pyaar tera
yahan apana paraayaa koi nahin
he sab pe maan, upkaar tera
mere desh kii dharti...
ye baag he gautam nanak kaa, khilte hai aman ke phool yahan
gandhi, subhash, tagore, tilak, aise hai chaman ke phool yahan
rang haraa hari singh nalwe se, rang laal he laal bahadoor se
rang bana basanti bhagat singh, rang aman kaa vir jawahar se
mere desh kii dharti...
Writer(s): Kalyanji Anandji, Gulshan Bawra<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com
7m 9s · Hindi