Han Han Yeh Pyar Hai Lyrics
sapanon ke des mein, palkon kee chhaanv mein
pyaar ke naam ka vo jo ek mod hai
haan , usi mod par maine dekha tumhein
too mujko lagaa
tum ho khilatee kalee, tum ho chanchal kiran
chalki-chalki nadi, mahakaa-mahakaa chaman
tumse hai taazgi, tumse hai zindagi
to maine kahaa
haan , haan , ye pyaar hai aur ab to khulke mujko iqaraar hai
main deewaanaa hoon muje pyaar hai, sun le dilruba
haan , haan , ye pyaar hai aur ab to khulke mujko iqaraar hai
main deewaanaa hoon muje pyaar hai, sun le dilruba
main to hairaan hoon kya kahoon? kya kahoon?
zulf ya raat hai, cheharaa ya chaandanee
honth ya phool hain, baath ya raagini
kise hai pata
ai haseen, ai haseen, dilruba, dilanashin
mere dil mein hai kya tum nahin jaantee?
kab se khamosh hoon , sochtha hoon kahoon
jo naa kah sakaa
haan , haan , ye pyaar hai aur ab to khulke mujko iqaraar hai
main deewaanaa hoon muje pyaar hai, sun le dilruba
haan , haan , ye pyaar hai aur ab to khulke mujko iqaraar hai
main deewaanaa hoon muje pyaar hai, sun le dilruba
Writer(s): Javed Akhtar, Pandit Jatin, Lalit Pandit<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com
More from Dillagi
Loading
You Might Like
Loading
4m 32s · Hindi