Fikar Hai

Fikar Hai Lyrics

Fikar Hai  by Stunnah Beatz, MC Altaf

Song  ·  94,540 Plays  ·  3:43  ·  Hindi

℗ 2021 Gully Gang Records

Fikar Hai Lyrics

Stunnah got me!

Dhundu mai, sachai kidhar hai?

Dekh rahe jhoot, aur jhoot ka hi zikar hai

Karte nahi koi bhi
Asli baat karte nahi koi bhi

Shareer hai zinda, insaaniyat toh so hi gayi

Waise hi insaan hi insaan ko maarta (maarta)

Fikar hai, bachpan se mujhme kuch karne ki shiddat hai

Kuch ke paas paisa, kuch ke paas kismat hai

Ghar lage chota bas ussi ki dikkat hai

Paida kyu kiya?, toh maa-baap pe dosh
Choda toh ghar, apna saga hai dost
Ussi ke saath hi toh, khoya tha hosh
Duniyadaari, tabhi jeene ke josh
Duniya saali, kisi ki nahi hai dost

Jaane de chod, mai pad jaata soch mai
Mujhe lage, ye tarike mai khot hai

Acchai ke saamne, burrai bhi choke hai

Dekh rahe jhoot, kadvi asliyat hai
Naseeb se sab mile sab, choti kyu niyat hai?
Dil apna bada kar, ussi ki keemat hai
Mushkile aaye toh, jhelne ki himmat hai

Dhundu mai, sachai kidhar hai?

Dekh rahe jhoot, aur jhoot ka hi zikar hai

Mai na banna chahta aisa kalakaar, jo chand rupayo ke liye bechde imaam ko
Mai na jaanu social media ke trend dene waale kya samaj ko

Ooh, seekhne ki umar nahi seekhte hi rehna ka
Kam pade sona ki jagah, toh usse bade sapne dekhne ka
Paani-paani apne wave, mai hi behne ka
Chadar hai choti, fir bhi pair faileha
Job mera ek hi hai, likhte hi rehne ka
Jo aaya beech mai, seedha fir dena ka
Zindigi teri hai, kabhi nahi sehne ka, yeah, yeah

Isiliye kabhi nahi chup, tu khaali gandagi sunn
Ghanta fir hoga nahi kuch, kalam ka accha kar use

Paas mai hathiyaar nahi, kala bandook

Loyal banda idhar, koi nahi hai broski

Fikar hai, akela banega saath rahega koi nahi
Dhundhu mai sach, sab dikhe bas, wo hi ni khair

Dhundu mai, sachai kidhar hai?

Dekh rahe jhoot, aur jhoot ka hi zikar hai

Writer(s): Altaf Shaikh, Rajdeep Sinha<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com


More from Fikar Hai

Loading

You Might Like

Loading


3m 43s  ·  Hindi

℗ 2021 Gully Gang Records

FAQs for Fikar Hai