Dil Jis Se Zinda Hai

Dil Jis Se Zinda Hai Lyrics

Nusrat's 50 Best of Urdu Sufi and Qawwali Hits  by Nusrat Fateh Ali Khan

Song  ·  29,754 Plays  ·  12:39  ·  Urdu

Nupur Audio

Dil Jis Se Zinda Hai Lyrics

Dil jis se zinda hai wo tamanna tumhi to ho
Hum jis mein bas rahay hein wo dunya tumhi to ho

Dil jis se zinda hai
Dil jis se zinda hai
Dil jis se zinda hai wo tum ho
Dil jis se zinda hai wo tum ho (Sufi Chants)

Teri zulf gar shab-e-qadr hai
Tera chehra badr-e-muneer hai
Tere sadqe jaaon mein ya-nabi
Tu habib-e-rabb-e-qadeer hai

Dil jis se zinda hai wo tum ho
Dil jis se zinda hai wo tum ho (Sufi Chants)

Tera husn jalwa e toor hai
Teri chakal surah e noor hai
Ke jahaan mein koi aaj tak
Teri misl hai na nazeer hai

Dil jis se zinda hai wo tum ho
Dil jis se zinda hai wo tum ho (Sufi Chants)

Teri deed jisko naseeb hai
Wo naseeb qabil-e-deed hai
Tera dekhna meri eid hai
Tera rukh kalam-e-majeed hai

Dil jis se zinda hai wo tum ho
Dil jis se zinda hai wo tum ho (Sufi Chants)

Teri deed karne ko khud khuda
Tujhe paas apne bula liya
To bitha ke saamne yeh kaha
Meri aaj arsh pe eid hai

Dil jis se zinda hai wo tum ho
Dil jis se zinda hai wo tum ho (Sufi Chants)

Tera noor noor-e-qadeem hai
Tera husn husn-e-kamaal hai
Nahi jiski koi misaal hai
Tu he aamina ka wo laal hai

Dil jis se zinda hai wo tum ho
Dil jis se zinda hai wo tum ho (Sufi Chants)

Shahsawara raazdaraa Hoo
Shahsawara raazdaraa Aaa
Shahsawara raazdaraa rub diya
Taajdaara dardmanda sub diyaa

Ay alam nashra de seene waliya
Ay shahenshah madina waliya
Aavi ja wal fajr chehre waliya
Aavi ja yasin sehre waliya
Yaad teri da mei deeva waliya
Aavi ja hun kaali kamli waliya

Dil jis se zinda hai wo tum ho
Dil jis se zinda hai wo tum ho (Sufi Chants)

Ya habibi marhaba marhaba marhaba, marhaba marhaba
Marhaba marhaba, marhaba marhaba
Marhaba marhaba, marhaba marhaba
Marhaba marhaba, marhaba marhaba... (Sufi Chants)

Roya shab e hijraan mein bohot ashq bahaya
Itni mein musawwir ko rehm jo aaya
Naqshe kayi tasveero ke wo saamnay laaya
Bola ke yeh yusuf hai yeh eesa hai yeh musa
Mein ne kaha in mein se kisi per nahi sheda
Jab saamnay laya wo shabeeh e shah e wala
Besaakhta us waqt zubaan se meri nikla...

Mujh chand bashar shasaniye
Matthe chamke laath nooraniye
Kali zulf te akh mastaniye
Makhmor akhi hinmat bharya
Teri surat nu mein jaan akha
Jaana ke jaane jahan akha
Sach aakha te rub di shaan akha
Jis shaan to shana sub banya

Subhanallah, ma ajmalaka,
Ma ahsanaka, ma akmalaka
Kithe mehr ali kithe teri sana
Gustaakh akhi kithe ja ariyan

Glory be to God, what wondrous beauty
What elegance, what perfection?
What is poor Mehr Ali to utter your praises
O where have these bold eyes alighted

Marhaba marhaba, marhaba marhaba
Marhaba marhaba, marhaba marhaba (Sufi Chants)

Subhanallah ma ajmalaka, ma ahsanaka, ma akmalaka
Subhanallah Allah Allah subhanallah Allah Allah

Jine dekhiya kamli waliya nu
Noohu nikliya wah subhanallah
Noori mukhre te kayi chamk diye
Kaise zulf e siyaah subhanallah

Lab′laal-e-yemen qadsarv-e-chaman
Ey naafa kutan ate her hai badan
Tere husn di ki tareef karaan
Kahay uthiya khuda subhanallah

Bus Allah Allah subhanallah
Allah Allah subhanallah (Sufi Chants)

Farishta dar pe basad ehtiraam aata hai
Khuda ke baad tumhara he naam aata hai
Kaleem hoon ge tumhein kya kaleem se nisbat
Tumhara ghar mein khuda ka kalaam aata hai

Bus Allah Allah subhanallah Allah Allah
Subhanallah Allah Allah (Sufi chants)

Tu ne qabl az do jahaan shan e tajalla dekhi
Arsh banta howa sajti howi dunya dekhi
Tere qadmo mein jhuki saray rasoolon ki jabeen
Sub ne allah ko mana teri dekha dekhi

Allah Allah subhanallah Allah Allah
Subhanallah bus Allah Allah (Sufi chants)

Her ik kundal kundal uthe aashiq ta dil dolay
Husn tere di sift di aakha kaafir kalma bolay aakhe

Allah Allah subhanallah

Subhanallah, ma ajmalaka
Ma ahsanaka, ma akmalaka
Kithe mehr ali kithe teri sana
Gustaakh akhi kithe ja ariyan

Marhaba marhaba

Ya noor ul ainee marhaba
Jaddil hussaini marhaba

Ya imam ul qiblatain
Ya nabi ul harmein

Aap hein aankhon ki thandak
Aap hein her dil ka chein

Innaka shams ud duha
Innaka badr ud doja
Innaka noor ul huda
Innaka sadr ul ula

Writer(s): Nusrat Fateh Ali Khan, Mujahid Khan, Zafar Khan<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com


More from Nusrat's 50 Best of Urdu Sufi and Qawwali Hits

Loading

You Might Like

Loading


12m 39s  ·  Urdu

Nupur Audio

FAQs for Dil Jis Se Zinda Hai