Om Jai Jagdish Hare Lyrics
om jai jagadish hare, swami jai jagadish hare
bhakt janon ke sankat, daas janon ke sankat
kshan mein door kare, om jai jagadish hare
jo dhyaavey fal paave, dukh bin se man ka
swami, dukh bin se man ka
sukh-sampatti ghar aave (sukh-sampatti ghar aave)
ksht mite tan ka, om jai jagadish hare
maat-pita tum mere, sharan gahoon main kiski?
swami, sharan gahoon main kiski?
tum bin aur naa dooja, prabhu bin aur naa dooja
aas karoon main kiski? (om jai jagadish hare)
tum pooran paramatma, tum antaryami
swami, tum antaryami
parbrahm paremashwar, parbrahm parameshwar
tum sabake swami, om jai jagadish hare
tum karunaa ke saagar, tum paalan karthaa
swami, tum paalan karthaa
main moorakh khal kaami, main sevak tum swami
krupa karo bharta (om jai jagadish hare)
tum ho ek agochar
sabake praan pati (sabake praan pati)
kis vidh miluun dayamay, kis vidh miluun dayamay
tum ko main kumati (om jai jagadish hare)
deen-bandhu dukhaharta, tum thakur mere
swami, rakshak tum mere
apanae haath uthaao, apanee sharan lagaao
dwaar padaa tere (om jai jagadish hare)
vishay-vikaar mitaao, paap haro deva
swami, paap haro deva (deva)
shraddha bhakthi badhaao (shraddha bhakthi badhaao)
santan kee seva (om jai jagadish hare)
om jai jagadish hare, swami jai jagadish hare
bhakt janon ke sankat, daas janon ke sankat
kshan mein door kare, om jai jagadish hare
Writer(s): Pulak Bandopadhyay, Sri Mrinal Bandyopadhyay<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com
More from Om Jai Jagdish Hare
Loading
You Might Like
Loading
4m 48s · Hindi