Bekhayali (Arijit Singh Version)

Bekhayali (Arijit Singh Version) Lyrics

Kabir Singh  by Arijit Singh

Song  ·  75,537,732 Plays  ·  6:10  ·  Hindi

℗ 2019 Super Cassettes Industries Private Limited

Bekhayali (Arijit Singh Version) Lyrics

Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
"Kyun bichhadana hai zaroori?" Ye sawaal aaye
Teri nazadikiyon ki khushi behisaab thi
Hissey mein faasle bhi tere bemisaal aaye

Main jo tumse door hoon, kyun door main rahoon?
Tera guroor hoon
Aa, tu faasla mita, tu khwaab sa mila
Kyun khwaab tod doon?

Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
"Kyun bichhadana hai zaroori?" Ye sawaal aaye
Thoda sa main khafa ho gaya apne aap se
thoda sa tujpe bhee bewajah hee malaal aaye

Hai ye tadapan, hai ye ulajhan
Kaise jee loon bina tere?
Meri ab sab se hai anban
Bante kyun ye khuda mere?

Ye jo log-baag hain, jangal ki aag hain
Kyun aag mein jaloon?
Ye nakaam pyaar mein, khush hain ye haar mein
In jaisa kyun banoon?

Raatein dengi bata, neendon mein teri hi baat hai
Bhuloon kaise tujhe? Tu to khayalon mein saath hai

Bekhayali mein bhi tera hi khayal aaye
"Kyun bichhadana hai zaroori?" Ye sawaal aaye

Nazaron ke aage har ek manzar ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badan mein mere zehar ki tarah utar raha hai
Nazaron ke aage har ek manzar ret ki tarah bikhar raha hai
Dard tumhara badan mein mere zehar ki tarah utar raha hai

Aa zamane, aazma le, roothata nahin
Faaslon se hauslaa ye tootata nahin
Na hai wo bewafa aur na main hoon bewafa
Wo meri aadaton ki tarah chhootata nahin

Writer(s): Irshad Kamil<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com


More from Kabir Singh

Loading

You Might Like

Loading


FAQs for Bekhayali (Arijit Singh Version)