Barsaat Ki Dhun

Barsaat Ki Dhun Lyrics

Barsaat Ki Dhun  by Rochak Kohli, Jubin Nautiyal, Anu Malik

Song  ·  131,795,914 Plays  ·  4:19  ·  Hindi

℗ 2021 Super Cassettes Industries Private Limited

Barsaat Ki Dhun Lyrics

Kisi shayar ka dil banke
Barasti hain bunde tum pe

Kisi shayar ka dil banke
Barasti hain bunde tum pe
Nazara uff kya hota hai
Guzarti hain jab zulfon se
Dur kahin ab jawo na tum

Sun sun sun barsat ki dhun sun
Sun sun sun barsat ki dhun sun

Dil me yahi ek gam rahta hai
Sath mere tu kam rahta hai
Han dil me yahi ek gam rahta hai
Sath mere tu kam rahta hai
Chhod ke abhi jawo na tum

Sun sun sun barsat ki dhun sun

Haan, dheere-dheere, haule-haule bheega dengi ye barsaatein
Ho, dheere-dheere, haule-haule bheega dengi ye barsaatein
Jaane kahaan phir milenge humein aisi mulaaqaatein

Sambhaaloon kaise main dil ko?
Diwana chahe bas tum ko
Khwaahishon mein hi jal rahaa hoon main yahaan

Wo pahli si baarish banke
Baras jaao na tum hum pe
Hawaa ka rukh badal jaaye
Mohabbat karna tum aise
Khwaab mera ye todo na tum

Jismon pe barasti baarish ne rooh bheega di hai
Is mausam ki saazish ne ye need udaa di hai
Waise to dubaane ko bas ek boond hi kaafi hai
Socho to zaraa "Kya hoga? Abhi raat ye baaqi hai"
Saath mere bah jaao na tum

Sun sun sun barsat ki dhun sun
Sun sun sun barsat ki dhun sun

Bijli chamki lipat gaye hum
Badal garja simat gaye hum
Bijli chamki lipat gaye hum
Badal garja simat gaye hum
Hosh bhi ho jaane do gum

Sun sun sun barsat ki dhun sun
Sun sun sun barsat ki dhun sun
Sun sun sun barsat ki dhun sun

Writer(s): Anu Malik, Rochak Kohli<br>Lyrics powered by www.musixmatch.com


More from Barsaat Ki Dhun

Loading

You Might Like

Loading


FAQs for Barsaat Ki Dhun